Saturday, June 10, 2006

The poems i like most

SarFaroshi Ki Tamanna

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil mein hai,
dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai..
karta nahin kyun doosra kuch baat cheet,
dekhta hun main jise voh chup teri mehfil mein hai..

aye shaheed-e-mulk-o-millat main teray oopar nisaar,
ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai..
waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman,
ham abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai..

khainch kar layee hai sab ko qatl honay ki ummeed,
aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai..
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaray dil mein hai,
dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai..


hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai,
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai,
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan,
chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj.
duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.

Ag Jalni Chahiye
ho gayi hai peer parvat si pighalni chahiye
is himalaya se koi ganga nikalni chahiye
aaj yah deewaar pardon ki tarah hilne lagi
shart lekin thi ki ye buniyaad hilni chahiye

sirf hangama khada karna mera maksad nahin
saari koshish hai ki ye soorat badalni chahiye
mere seene main na sahi to tere seene main sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye

and my Papa's favourite poem

Lahron ki ginti kya karna
Qayar karte hain karne do
Tufano se sahme jo ho
Pal pal marte hain marne do
Chir pawan nutan beej liye
Usha Jai Mukut Chadayegi
Patwar chalate jaoege
Manjil ayegi ayegi